Featured Post

SOCH #10

Getting higher degree and earning the most is not a true success, success is when you can live happily without any of these materialistic ...

Tuesday, December 27, 2016

SONG #2

Halaat sabke bure hote hai , waqt sabka bura aata hai
Zindgi hume aazamti hai , dil baith sa jaata hai
Lagta nai kisi karishme ki umeed dil ko ,
Chain khone lagta hai , sukun chala jaata hai
Jaane aisa kyu hota hai 
Zindgi hume aazamti hai , dil baith sa jaata hai
Halaat sabke bure hote h , waqt sabka bura aata hai ..
Majburiyo ki zindgi hai kaid khane si ,
Na khushiya roshni banker aapata hai na majburi nikal pata hai
Khone se dil saham jaata hai , apni chizo ko
Jo apni toh hai lekin apni si nai lagti , anjaana sa hai
Imaan dagmagaane lagta hai , insaan khone lagta h ,
Uss bich ik kiran ki roshni ki aas hoti hai
Jaane kyu aisa hota h
Zindgi hume aazamti hai , dil baith sa jaata hai
Halaat sabke bure hote h , waqt sabka bura aata hai ..
Majburi ko apni zindagi na banne dena ae dost ,
Zindgi jail bann jayegi
Na waqt saath dega fir na saaya saath nibhayegi
Badhaali ko apni khushi na bana ae dost ,
Maut zindgi bann jayegi
Na imaan saath dega na jaban saath nibhayegi
Jaane kyu iss tarah dil , unn raato ko yaad Karta hai
Jaane kyu zindgi mai aisa hota h
Zindgi hume aazamti hai , dil baith sa jaata hai
Halaat sabke bure hote h , waqt sabka bura aata hai ..
-vinaY

No comments:

Post a Comment